guzri giran jo mujh pe koi raat hi to thi
guzrī girāñ jo mujh pe koī raat hī to thī
lagtī rahī jo dil ko tirī baat hī to thī
ḳhud kī talāsh hī meñ bhaTaktā phirā thā maiñ
dhoke meñ saarī 'umr mirī zaat hī to thī
jab kāmyābiyoñ ko ḳhirad se milī thī shah
har pal bisāt-e-dil pe mirī maat hī to thī
pī kar lahū ke ghūñT guzāre the roz-o-shab
aise meñ zindagī bhī karāmāt hī to thī
do pal kī sarḳhushī ke guzarne kā kaisā ġham
āḳhir vo apne jahl kī sauġhāt hī to thī
dastār ke baġhair bhī rahtā thā sar buland
vo mere yār-e-ġhār kī auqāt hī to thī
'bebāk' āñsuoñ se bharī vo shab-e-firāq
kaase meñ dil ke 'ishq kī ḳhairāt hī to thī
guzri giran jo mujh pe koi raat hi to thi
lagti rahi jo dil ko teri baat hi to thi
KHud ki talash hi mein bhaTakta phira tha main
dhoke mein sari 'umr meri zat hi to thi
jab kaamyabiyon ko KHirad se mili thi shah
har pal bisat-e-dil pe meri mat hi to thi
pi kar lahu ke ghunT guzare the roz-o-shab
aise mein zindagi bhi karamat hi to thi
do pal ki sarKHushi ke guzarne ka kaisa gham
aaKHir wo apne jahl ki saughat hi to thi
dastar ke baghair bhi rahta tha sar buland
wo mere yar-e-ghaar ki auqat hi to thi
'bebak' aansuon se bhari wo shab-e-firaq
kase mein dil ke 'ishq ki KHairaat hi to thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.