guzri hui bahaar ka koi pata nahin
guzrī huī bahār kā koī patā nahīñ
is peḌ meñ to ek bhī pattā harā nahīñ
maiñ ḳhud bhī apne gosh-e-samā'at pe baar huuñ
vo harf huuñ jise tirā lahja milā nahīñ
is bhiiḌ meñ haiñ sab vahī derīna ajnabī
mere liye to ek bhī chehra nayā nahīñ
nārāz mujh se shahr ke bachche haiñ is liye
maiñ un ke haath ban ke khilaunā rahā nahīñ
pheñkā hai kis ke haath ne patthar meñ dekh lo
patthar se baḌh ke aur koī aa.ina nahīñ
kis hausle se ḳhud ko sameTe hue huuñ maiñ
TuuTā huā zarūr huuñ bikhrā huā nahīñ
us se bichhaḌ ke miltī koī raushnī to kyā
ai 'badr' mujh ko ḳhud mirā saa.e milā nahīñ
guzri hui bahaar ka koi pata nahin
is peD mein to ek bhi patta hara nahin
main KHud bhi apne gosh-e-sama'at pe bar hun
wo harf hun jise tera lahja mila nahin
is bhiD mein hain sab wahi derina ajnabi
mere liye to ek bhi chehra naya nahin
naraaz mujh se shahr ke bachche hain is liye
main un ke hath ban ke khilauna raha nahin
phenka hai kis ke hath ne patthar mein dekh lo
patthar se baDh ke aur koi aaina nahin
kis hausle se KHud ko sameTe hue hun main
TuTa hua zarur hun bikhra hua nahin
us se bichhaD ke milti koi raushni to kya
ai 'badr' mujh ko KHud mera sae mila nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.