hadisa ban ke har ek roz guzar jata hun
hādisa ban ke har ik roz guzar jaatā huuñ
ek vīrāne kī bāñhoñ meñ Thahar jaatā huuñ
sub.h ko jab bhī jagātī hai koī māyūsī
shab kī āñkhoñ meñ kisī ḳhvāb sā bhar jaatā huuñ
aur jab dhuup jalātī hai safar meñ mujh ko
maiñ pighal kar kisī saa.e meñ pasar jaatā huuñ
gher letī hai mujhe dekh ke mauqa aksar
dil meñ tanhā.ī kī is bhiiḌ se Dar jaatā huuñ
ye hī ma.amūl hai har din kā har ik lamhe kā
tujh ko jiite hue ai zindagī mar jaatā huuñ
koshisheñ kitnī hī kartā huuñ sameTūñ ḳhud ko
jaane kyā hotā hai har baar bikhar jaatā huuñ
bhuul jaatā huuñ kahīñ rakh ke maiñ ḳhud ko aur phir
sochtā rahtā huuñ āḳhir maiñ kidhar jaatā huuñ
silsila saath mire aisā hai tūfānoñ kā
ik se bachtā huuñ to duuje meñ utar jaatā huuñ
hadisa ban ke har ek roz guzar jata hun
ek virane ki banhon mein Thahar jata hun
subh ko jab bhi jagati hai koi mayusi
shab ki aankhon mein kisi KHwab sa bhar jata hun
aur jab dhup jalati hai safar mein mujh ko
main pighal kar kisi sae mein pasar jata hun
gher leti hai mujhe dekh ke mauqa aksar
dil mein tanhai ki is bhiD se Dar jata hun
ye hi mamul hai har din ka har ek lamhe ka
tujh ko jite hue ai zindagi mar jata hun
koshishen kitni hi karta hun sameTun KHud ko
jaane kya hota hai har bar bikhar jata hun
bhul jata hun kahin rakh ke main KHud ko aur phir
sochta rahta hun aaKHir main kidhar jata hun
silsila sath mere aisa hai tufanon ka
ek se bachta hun to duje mein utar jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.