hadisa kya hua KHuda jaane
hādisa kyā huā ḳhudā jaane
jam.a haiñ gird apne begāne
ek dil aur saiñkaḌoñ nāseh
kaise har ek kā kahā maane
aate jaate haiñ kis liye ye log
aaj kyā ho gayā ḳhudā jaane
har ghaḌī sabr-o-zabt kī talqīn
khul ke rone diyā na duniyā ne
zaḳhm siine pe ashk āñkhoñ meñ
bas yahī kuchh diyā hai duniyā ne
pyaas bujhtī thī jis se rindoñ kī
dekh ḳhālī haiñ ab vo paimāne
dil meñ raushan haiñ yaad kī sham.eñ
jal-bujhe aarzū ke parvāne
baḌh ga.ī aur dil kī betābi
kaun aaya hai aaj samjhāne
dil ko kyā kyā diye fareb ke dars
zindagī bhar tirī tamanna ne
rah na jaanā ulajh ke ai nādāñ
zulf-e-gītī chalā hai suljhāne
shahr meñ tere ishq ke ai 'rāz'
jitne muñh aaj utne afsāne
hadisa kya hua KHuda jaane
jama hain gird apne begane
ek dil aur sainkaDon naseh
kaise har ek ka kaha mane
aate jate hain kis liye ye log
aaj kya ho gaya KHuda jaane
har ghaDi sabr-o-zabt ki talqin
khul ke rone diya na duniya ne
zaKHm sine pe ashk aankhon mein
bas yahi kuchh diya hai duniya ne
pyas bujhti thi jis se rindon ki
dekh KHali hain ab wo paimane
dil mein raushan hain yaad ki shamen
jal-bujhe aarzu ke parwane
baDh gai aur dil ki betabi
kaun aaya hai aaj samjhane
dil ko kya kya diye fareb ke dars
zindagi bhar teri tamanna ne
rah na jaana ulajh ke ai nadan
zulf-e-giti chala hai suljhane
shahr mein tere ishq ke ai 'raaz'
jitne munh aaj utne afsane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.