hādsa kaun sā huā pahle
raat aa.ī ki din Dhalā pahle
ab maiñ paanī talāsh kartā huuñ
bhuuk thī merā mas.ala pahle
ḳhvāb the merī dastaras meñ do
maiñ ne dekhā thā dūsrā pahle
ab to vo bhī nazar nahīñ aatā
dikh rahā thā jo rāsta pahle
ab to ye bhī qadīm lagtā hai
kis qadar shahr thā nayā pahle
is se pahle ki TūTtī ummīd
TuuT jaanā thā hausla pahle
phuul ke zaḳhm ba.ad meñ pochheñ
haath kāñToñ se chhil gayā pahle
hadsa kaun sa hua pahle
raat aai ki din Dhala pahle
ab main pani talash karta hun
bhuk thi mera masala pahle
KHwab the meri dastaras mein do
main ne dekha tha dusra pahle
ab to wo bhi nazar nahin aata
dikh raha tha jo rasta pahle
ab to ye bhi qadim lagta hai
kis qadar shahr tha naya pahle
is se pahle ki TuTti ummid
TuT jaana tha hausla pahle
phul ke zaKHm baad mein pochhen
hath kanTon se chhil gaya pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.