hadse gham ke shab-o-roz guzarte hi rahe
hādse ġham ke shab-o-roz guzarte hī rahe
ham jo karnā thā bahar-taur vo karte hī rahe
un se duniyā ko numā.ish ke sivā kuchh na milā
aa.ina sāmne rakh kar jo sañvarte hī rahe
haq-parastī ke usūloñ kā huā ham se faroġh
log āġhāz meñ anjām se Darte hī rahe
kisī qābil to na thā gulshan-e-hastī apnā
qāfile phir bhī bahāroñ ke Thaharte hī rahe
zīnat-e-mansab-e-ālī hue duniyā ke harīs
aur haqdār bulandī se utarte hī rahe
apnī āñkhoñ meñ mohabbat ke simaT kar jalve
kuchh is andāz se nikhre ki nikharte hī rahe
umr bhar zauq-e-fan-e-sher rahā ham ko 'ḳhalīq'
rang jazbāt kā ash.ār meñ bharte hī rahe
hadse gham ke shab-o-roz guzarte hi rahe
hum jo karna tha bahar-taur wo karte hi rahe
un se duniya ko numaish ke siwa kuchh na mila
aaina samne rakh kar jo sanwarte hi rahe
haq-parasti ke usulon ka hua hum se farogh
log aaghaz mein anjam se Darte hi rahe
kisi qabil to na tha gulshan-e-hasti apna
qafile phir bhi bahaaron ke Thaharte hi rahe
zinat-e-mansab-e-ali hue duniya ke haris
aur haqdar bulandi se utarte hi rahe
apni aankhon mein mohabbat ke simaT kar jalwe
kuchh is andaz se nikhre ki nikharte hi rahe
umr bhar zauq-e-fan-e-sher raha hum ko 'KHaliq'
rang jazbaat ka ashaar mein bharte hi rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.