hadse zist ke is dil mein jo ghar karte hain
hādse ziist ke is dil meñ jo ghar karte haiñ
dasht-e-āġhosh meñ vo 'umr basar karte haiñ
mere hisse meñ mohabbat nahīñ likkhī lekin
merī āñkhoñ meñ ka.ī ḳhvāb safar karte haiñ
is liye ḳhud ko miTānā bhī zarūrī samjhā
ġham zamāne ke mire dil pe asar karte haiñ
ab to bantā hī nahīñ terā parāyoñ se gila
haal behāl yahāñ apne agar karte haiñ
is liye toḌ ke baiThī huuñ ta'alluq dil se
ab kahāñ log mohabbat kī qadar karte haiñ
maan jaatī huuñ maiñ har baat min-o-‘an us kī
is qadar fahm-o-farāsat se ḳhabar karte haiñ
tū ne dekhā hī nahīñ dil meñ ḳhazānoñ ko 'umūd'
in meñ kuchh saañp haiñ jo sab pe nazar karte haiñ
hadse zist ke is dil mein jo ghar karte hain
dasht-e-aghosh mein wo 'umr basar karte hain
mere hisse mein mohabbat nahin likkhi lekin
meri aankhon mein kai KHwab safar karte hain
is liye KHud ko miTana bhi zaruri samjha
gham zamane ke mere dil pe asar karte hain
ab to banta hi nahin tera parayon se gila
haal behaal yahan apne agar karte hain
is liye toD ke baiThi hun ta'alluq dil se
ab kahan log mohabbat ki qadar karte hain
man jati hun main har baat min-o-‘an us ki
is qadar fahm-o-farasat se KHabar karte hain
tu ne dekha hi nahin dil mein KHazanon ko 'umud'
in mein kuchh sanp hain jo sab pe nazar karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.