hadson ne hi mujhko pala hai
hādsoñ ne hī mujh ko paalā hai
ruup rang is liye nirālā hai
us kī chup ne batā diyā thā saaf
daaġh dāman pe lagne vaalā hai
kuchh to apnī zabāñ darāz karo
kyoñ paḌā lab pe tere taalā hai
aañkh ke gird jo ye halqe haiñ
hijr ke ratjagoñ kā haalā hai
dar-o-dīvār ziist ke haiñ hile
aisā apnoñ ne raḳhna Daalā hai
varna 'shā.im' kabhī ke mar jaate
ġham-e-daurāñ ne hī sañbhālā hai
hadson ne hi mujh ko pala hai
rup rang is liye nirala hai
us ki chup ne bata diya tha saf
dagh daman pe lagne wala hai
kuchh to apni zaban daraaz karo
kyon paDa lab pe tere tala hai
aankh ke gird jo ye halqe hain
hijr ke ratjagon ka haala hai
dar-o-diwar zist ke hain hile
aisa apnon ne raKHna Dala hai
warna 'shaim' kabhi ke mar jate
gham-e-dauran ne hi sanbhaala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.