hādsoñ par fidā ho ga.ī
zindagī kyā se kyā ho ga.ī
ab to aañsū bhī aate nahīñ
dard kī intihā ho ga.ī
phuul itne kaTīle hue
saarī ḳhushbū havā ho ga.ī
jab bulāo to aatī nahīñ
maut bhī bevafā ho ga.ī
ek sach ham ne kyā kah diyā
saarī duniyā ḳhafā ho ga.ī
jis ko kahte haiñ ham dostī
aaj naqlī davā ho ga.ī
kaan sab ke siyāsī hue
shā.irī be-mazā ho ga.ī
hadson par fida ho gai
zindagi kya se kya ho gai
ab to aansu bhi aate nahin
dard ki intiha ho gai
phul itne kaTile hue
sari KHushbu hawa ho gai
jab bulao to aati nahin
maut bhi bewafa ho gai
ek sach hum ne kya kah diya
sari duniya KHafa ho gai
jis ko kahte hain hum dosti
aaj naqli dawa ho gai
kan sab ke siyasi hue
shairi be-maza ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.