haa.e kaisā jaan se bezār hai
jo tumhāre hijr kā bīmār hai
lab pe va.ada dil meñ saaf inkār hai
vaah kyā inkār kyā iqrār hai
sadd-e-rah ye parda-e-pindār hai
aap se guzre to beḌā paar hai
jaan par khelā kiye ham ishq meñ
ye na dekhā jiit hai yā haar hai
kyoñ na nikle bul-havas kī aarzū
us ke dil se aarzū bezār hai
aap meñ aane na de ai be-ḳhudī
Duub hī jā.ūñ to beḌā paar hai
dekh leñge aaj barpā karke hashr
hashr ke din vāda-e-dīdār hai
tere darmānoñ kī bandish hai ġhazab
dar bhī mere vāste dīvār hai
hae kaisa jaan se bezar hai
jo tumhaare hijr ka bimar hai
lab pe wada dil mein saf inkar hai
wah kya inkar kya iqrar hai
sadd-e-rah ye parda-e-pindar hai
aap se guzre to beDa par hai
jaan par khela kiye hum ishq mein
ye na dekha jit hai ya haar hai
kyon na nikle bul-hawas ki aarzu
us ke dil se aarzu bezar hai
aap mein aane na de ai be-KHudi
Dub hi jaun to beDa par hai
dekh lenge aaj barpa karke hashr
hashr ke din wada-e-didar hai
tere darmanon ki bandish hai ghazab
dar bhi mere waste diwar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.