hae kaisa ye zamane ka asar lagta hai
haa.e kaisā ye zamāne kā asar lagtā hai
jis ko dekho vahī afsurda bashar lagtā hai
ḳhuuñ ke rishtoñ kā bhī ab koī taqaddus na rahā
apnā ghar bhī mujhe ab ġhair kā ghar lagtā hai
diye jaatā hai bahut zehnī aziyyat mujh ko
dushman-e-jān mirā laḳht-e-jigar lagtā hai
ghar kā shīrāza bikhar jā.egā mā'lūm na thā
ab ye ghar hī mujhe aaseb kā ghar lagtā hai
baap kā baap banā baiThā hai beTā ghar meñ
aur agar baap ko dekho to pisar lagtā hai
ab burā.ī pe bhī ġhairat nahīñ insānoñ ko
ab har ik aib ba-andāz-e-hunar lagtā hai
ham kisī shaḳhs ko kuchh kahne ke qābil na rahe
apnā hī haal bas ab zer-o-zabar lagtā hai
ye hai andesha zabāñ par na lage qufl kahīñ
yuuñ koī baat bhī kahte hue Dar lagtā hai
jaan levā yahī hālāt rahe to ik din
apnā duniyā se bahut jald safar lagtā hai
pas-e-mizhgāñ hai to is meñ hai samundar pinhāñ
ashk jab palkoñ pe aatā hai guhar lagtā hai
ḳhuun se sīñch ke paude ko baḌā karte haiñ
tab kahīñ jā ke vo ai 'yās' shajar lagtā hai
hae kaisa ye zamane ka asar lagta hai
jis ko dekho wahi afsurda bashar lagta hai
KHun ke rishton ka bhi ab koi taqaddus na raha
apna ghar bhi mujhe ab ghair ka ghar lagta hai
diye jata hai bahut zehni aziyyat mujh ko
dushman-e-jaan mera laKHt-e-jigar lagta hai
ghar ka shiraaza bikhar jaega ma'lum na tha
ab ye ghar hi mujhe aaseb ka ghar lagta hai
bap ka bap bana baiTha hai beTa ghar mein
aur agar bap ko dekho to pisar lagta hai
ab burai pe bhi ghairat nahin insanon ko
ab har ek aib ba-andaz-e-hunar lagta hai
hum kisi shaKHs ko kuchh kahne ke qabil na rahe
apna hi haal bas ab zer-o-zabar lagta hai
ye hai andesha zaban par na lage qufl kahin
yun koi baat bhi kahte hue Dar lagta hai
jaan lewa yahi haalat rahe to ek din
apna duniya se bahut jald safar lagta hai
pas-e-mizhgan hai to is mein hai samundar pinhan
ashk jab palkon pe aata hai guhar lagta hai
KHun se sinch ke paude ko baDa karte hain
tab kahin ja ke wo ai 'yas' shajar lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.