hae kis anjuman-e-naz se to aati hai
haa.e kis anjuman-e-nāz se to aatī hai
ai sabā tujh se mujhe rashk kī bū aatī hai
tū ne betābī-e-dil aur bhī betāb kiyā
yaad tujh se mujhe us shoḳh kī ḳhū aatī hai
itne dam-ḳham bhī haiñ yā dam hī diye jaate haiñ
aap kī teġh kabhī ta-ba-gulū aatī hai
un ke bīmār se kyā tujh ko sarokār ai maut
tujh pe martā nahīñ kambaḳht jo tū aatī hai
haram-e-ḳhās kā kartī hai vahī jaan tavāf
āb-e-shamshīr se jo karke vuzū aatī hai
kabhī āñkheñ bhī maleñge kaf-e-pā se un ke
abhī jā jā ke nigah paañv ko chhū aatī hai
teġh khīñchī hai to ab aap khiñche baiThe haiñ
jaan khiñch khiñch ke yūñhī ta-ba-gulū aatī hai
gul-e-ummīd se bhartā hai falak yuuñ dāman
aarzū aañkh se ho ho ke lahū aatī hai
tum achhūte sahī āġhosh-e-tasavvur meñ to ho
na chhueñ ham nigah-e-shauq to chhū aatī hai
muñh se ab tak to nikaltā thā dhuāñ aah ke saath
dil ke jalne kī bhī ab der se bū aatī hai
zarf hai shart nahīñ himmat-e-sāqī meñ kalām
ek do jaam se naubat ye subū aatī hai
bazm-e-ahbāb ko karnā na pareshāñ ai 'yās'
har suḳhan se tire ab dard kī bū aatī hai
hae kis anjuman-e-naz se to aati hai
ai saba tujh se mujhe rashk ki bu aati hai
tu ne betabi-e-dil aur bhi betab kiya
yaad tujh se mujhe us shoKH ki KHu aati hai
itne dam-KHam bhi hain ya dam hi diye jate hain
aap ki tegh kabhi ta-ba-gulu aati hai
un ke bimar se kya tujh ko sarokar ai maut
tujh pe marta nahin kambaKHt jo tu aati hai
haram-e-KHas ka karti hai wahi jaan tawaf
aab-e-shamshir se jo karke wuzu aati hai
kabhi aankhen bhi malenge kaf-e-pa se un ke
abhi ja ja ke nigah panw ko chhu aati hai
tegh khinchi hai to ab aap khinche baiThe hain
jaan khinch khinch ke yunhi ta-ba-gulu aati hai
gul-e-ummid se bharta hai falak yun daman
aarzu aankh se ho ho ke lahu aati hai
tum achhute sahi aaghosh-e-tasawwur mein to ho
na chhuen hum nigah-e-shauq to chhu aati hai
munh se ab tak to nikalta tha dhuan aah ke sath
dil ke jalne ki bhi ab der se bu aati hai
zarf hai shart nahin himmat-e-saqi mein kalam
ek do jam se naubat ye subu aati hai
bazm-e-ahbab ko karna na pareshan ai 'yas'
har suKHan se tere ab dard ki bu aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.