hae kya haal kar liya dil ka
haa.e kyā haal kar liyā dil kā
zaḳhm ab tak nahīñ siyā dil kā
aa ke sūrat dikhā in āñkhoñ ko
bujh na jaa.e kahīñ diyā dil kā
kal talak thā vafā kā saudā.ī
aaj paḌhtā hai marsiya dil kā
tole ehsās kī kasauTī par
hai judāgāna zāviya dil kā
koī rough-work kā nishāñ bhī nahīñ
ḳhālī ḳhālī hai hāshiya dil kā
kāmyābī kā inhisār us par
ham ko karnā hai tasfiya dil kā
pyaas lagtī nahīñ kabhī us ko
ḳhuun jis ne bhī pī liyā dil kā
nasr meñ guftugū kareñ kyūñkar
jab hai andāz nazmiya dil kā
jab nahīñ sūjhtā mujhe kuchh aur
bāñdh letā huuñ qāfiya dil kā
'shād' ham ne to de diyā thā use
kyā pata us ne kyā kiyā dil kā
hae kya haal kar liya dil ka
zaKHm ab tak nahin siya dil ka
aa ke surat dikha in aankhon ko
bujh na jae kahin diya dil ka
kal talak tha wafa ka saudai
aaj paDhta hai marsiya dil ka
tole ehsas ki kasauTi par
hai judagana zawiya dil ka
koi rough-work ka nishan bhi nahin
KHali KHali hai hashiya dil ka
kaamyabi ka inhisar us par
hum ko karna hai tasfiya dil ka
pyas lagti nahin kabhi us ko
KHun jis ne bhi pi liya dil ka
nasr mein guftugu karen kyunkar
jab hai andaz nazmiya dil ka
jab nahin sujhta mujhe kuchh aur
bandh leta hun qafiya dil ka
'shad' hum ne to de diya tha use
kya pata us ne kya kiya dil ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.