hae kya log the jo ban ke dua utre the
haa.e kyā log the jo ban ke duā utre the
aur ik ham haiñ zamāne meñ ḳhafā utre the
ham ko ma.alūm na thā is kī sazā hotī hai
ham mohabbat kī kasauTī pe kharā utre the
ham ne jab saaf kahā thā ki añdherā hai yahāñ
aap sar phoḌne kyoñ dil meñ bhalā utre the
ishq ne DaañT ke phir ham ko nikālā bāhar
ham zamāne ke masā.il meñ zarā utre the
tab ye lagtā thā ki phir dil na lagā.eñge kabhī
ham bhī is khel meñ jab pahlī dafa utre the
hae kya log the jo ban ke dua utre the
aur ek hum hain zamane mein KHafa utre the
hum ko malum na tha is ki saza hoti hai
hum mohabbat ki kasauTi pe khara utre the
hum ne jab saf kaha tha ki andhera hai yahan
aap sar phoDne kyon dil mein bhala utre the
ishq ne DanT ke phir hum ko nikala bahar
hum zamane ke masail mein zara utre the
tab ye lagta tha ki phir dil na lagaenge kabhi
hum bhi is khel mein jab pahli dafa utre the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.