hae taqdir ke maidan mein saji hoti hai
haa.e taqdīr ke maidāñ meñ sajī hotī hai
zindagī se bhī sazā koī baḌī hotī hai
ek duniyā hai jo ġhairoñ se ujaḌ jaatī hai
ek duniyā hai jo apnoñ se juḌī hotī hai
ek raftār ke aage na kabhī baḌh paa.e
vaqt kī taar to pahle se kaTī hotī hai
koī ehsās-e-tamannā nahīñ hotā un ko
zindagī jin kī bhī TukḌoñ meñ baTī hotī hai
bujh nahīñ paatī kabhī mil ke bhī dobāra phir
vo jo ik aag judā.ī kī lagī hotī hai
hae taqdir ke maidan mein saji hoti hai
zindagi se bhi saza koi baDi hoti hai
ek duniya hai jo ghairon se ujaD jati hai
ek duniya hai jo apnon se juDi hoti hai
ek raftar ke aage na kabhi baDh pae
waqt ki tar to pahle se kaTi hoti hai
koi ehsas-e-tamanna nahin hota un ko
zindagi jin ki bhi TukDon mein baTi hoti hai
bujh nahin pati kabhi mil ke bhi dobara phir
wo jo ek aag judai ki lagi hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.