hae ye kaisa sitam ai sitam-ijad kiya
haa.e ye kaisā sitam ai sitam-ījād kiyā
dil to ghar thā tirā phir kyoñ ise barbād kiyā
kar liyā jazb sitāroñ ne mire ashkoñ ko
maiñ ne jab ro ke shab-e-hijr unheñ yaad kiyā
dekh vo ho ga.e ab aur bhī barham ai dil
tū ne kambaḳht ye kyoñ vā lab-e-fariyād kiyā
tere inkār ne vallāh qayāmat Dhaa.ī
qasr-e-ummīd-o-tamanna mirā barbād kiyā
hichkiyāñ aane lagīñ naza' meñ kyoñ mujh ko 'habīb'
āḳhirī vaqt pe ye kis ne mujhe yaad kiyā
hae ye kaisa sitam ai sitam-ijad kiya
dil to ghar tha tera phir kyon ise barbaad kiya
kar liya jazb sitaron ne mere ashkon ko
main ne jab ro ke shab-e-hijr unhen yaad kiya
dekh wo ho gae ab aur bhi barham ai dil
tu ne kambaKHt ye kyon wa lab-e-fariyaad kiya
tere inkar ne wallah qayamat Dhai
qasr-e-ummid-o-tamanna mera barbaad kiya
hichkiyan aane lagin naza' mein kyon mujh ko 'habib'
aaKHiri waqt pe ye kis ne mujhe yaad kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.