Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hae ye KHauf ye Dar raat kahan guzregi

Akhtar Gwaliori

hae ye KHauf ye Dar raat kahan guzregi

Akhtar Gwaliori

MORE BYAkhtar Gwaliori

    haa.e ye ḳhauf ye Dar raat kahāñ guzregī

    din to kaT jā.egā par raat kahāñ guzregī

    koī dīvār na dar raat kahāñ guzregī

    yuuñ sar-e-rāhguzar raat kahāñ guzregī

    koī sāthī hai na hamdam na koī ham-sāya

    aur phir lambā safar raat kahāñ guzregī

    ajnabī shahr meñ rah rah ke ḳhayāl aatā hai

    merī manzūr-e-nazar raat kahāñ guzregī

    din to kaise bhī guzar jā.egā ai ham-safaro

    shaam ke baa'd magar raat kahāñ guzregī

    ġham se fursat nahīñ hai ki ye socheñ 'aḳhtar'

    kis jagah hogī sahar raat kahāñ guzregī

    hae ye KHauf ye Dar raat kahan guzregi

    din to kaT jaega par raat kahan guzregi

    koi diwar na dar raat kahan guzregi

    yun sar-e-rahguzar raat kahan guzregi

    koi sathi hai na hamdam na koi ham-saya

    aur phir lamba safar raat kahan guzregi

    ajnabi shahr mein rah rah ke KHayal aata hai

    meri manzur-e-nazar raat kahan guzregi

    din to kaise bhi guzar jaega ai ham-safaro

    sham ke ba'd magar raat kahan guzregi

    gham se fursat hi nahin hai ki ye sochen 'aKHtar'

    kis jagah hogi sahar raat kahan guzregi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now