hael hain ashk rah mein kaise nazar mile
haa.el haiñ ashk raah meñ kaise nazar mile
bārish agar thame to musāfir ko ghar mile
aa.e charāġh shaam lagā luuñ gale tujhe
donoñ ko ye umiid nahīñ hai sahar mile
daur-e-jadīd meñ jo baḌhī fāsloñ kī baat
jī chāhtā nahīñ ki nazar se nazar mile
ab to junūñ ke haath se patthar nikal ga.e
ab ham bhī chāhte haiñ ki shīshe kā ghar mile
'saulat' vo kyā maqām thā saa.at thī kaun sī
Thahre hue jahāñ tumheñ shām-o-sahar mile
hael hain ashk rah mein kaise nazar mile
barish agar thame to musafir ko ghar mile
aae charagh sham laga lun gale tujhe
donon ko ye umid nahin hai sahar mile
daur-e-jadid mein jo baDhi faslon ki baat
ji chahta nahin ki nazar se nazar mile
ab to junun ke hath se patthar nikal gae
ab hum bhi chahte hain ki shishe ka ghar mile
'saulat' wo kya maqam tha saat thi kaun si
Thahre hue jahan tumhein sham-o-sahar mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.