hakim-e-waqt ki beTi se mohabbat kar ke
hākim-e-vaqt kī beTī se mohabbat kar ke
kyā milā tujh ko qabīle se baġhāvat kar ke
rāt-bhar āhaTeñ to ḳhvāb-darīchoñ pe rahīñ
dekh phir bhaag ga.e ḳhvāb sharārat kar ke
tū na aa.egā to ik paikar-e-nāyāb tirā
merī āñkhoñ meñ utar aa.egā hijrat kar ke
phuul ab zaḳhm kī tasvīr nazar aatī hai
mere jazboñ kī ridāoñ se shikāyat kar ke
maiñ ne har rang meñ jiine kā hunar sīkhā hai
jiinā chāho to jiyo mujh ko malāmat kar ke
aur haiñ kitnī lakīreñ maiñ safar kī dekhūñ
kitne anjān se rastoñ kī masāfat kar ke
aaj phir sar ko jhukā.e hue ghar par 'ābid'
thak gayā ḳhud ko ġhubār-e-rah-e-vahshat kar ke
hakim-e-waqt ki beTi se mohabbat kar ke
kya mila tujh ko qabile se baghawat kar ke
raat-bhar aahaTen to KHwab-darichon pe rahin
dekh phir bhag gae KHwab shararat kar ke
tu na aaega to ek paikar-e-nayab tera
meri aankhon mein utar aaega hijrat kar ke
phul ab zaKHm ki taswir nazar aati hai
mere jazbon ki ridaon se shikayat kar ke
main ne har rang mein jine ka hunar sikha hai
jina chaho to jiyo mujh ko malamat kar ke
aur hain kitni lakiren main safar ki dekhun
kitne anjaan se raston ki masafat kar ke
aaj phir sar ko jhukae hue ghar par 'abid'
thak gaya KHud ko ghubar-e-rah-e-wahshat kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.