haal-e-anjam se piri mein KHabar-dar hue
haal-e-anjam se piri mein KHabar-dar hue
Munshi Thakur Parsad Talib
MORE BYMunshi Thakur Parsad Talib
hāl-e-anjām se piirī meñ ḳhabar-dār hue
haif-sad-haif ki ab ḳhvāb se bedār hue
kis tarah ḳhāna-nashīnī se na ghabrā jaa.eñ
aadmī ham na hue nuqta-e-parkār hue
ḳhāna-e-chashm meñ rakkhā na basārat ne qadam
band jis din se tire rauzan-e-dīvār hue
hai mire pesh-e-nazar ab bhī tumhārā bachpan
mujh se batlāo ki tum kab se tarahdār hue
nafā kyā pahoñche kisī ko jo tavangar ho baḳhīl
kyā anādil ko milā phuul jo zardār hue
past himmat huī muusā kī haqīqat sun kar
bhuul kar ham na kabhī tālib-e-dīdār hue
mauqa-e-dīd jab aaya to nigah ḳhīra huī
mardum-e-dīda ajab vaqt meñ bīmār hue
shīsha se ban ke parī bint-e-inab jab niklī
dekh kar jaame se bāhar vahīñ mai-ḳhvār hue
vasl meñ talḳhī-e-furqat kī talāfī ye huī
lab-e-shīrīn-e-sanam mujh se shakar-bār hue
muntashir fikr-e-ma.īshat se hue hosh-o-havās
tā.ir-e-aql-e-rasā par tire bekār hue
hashr meñ aish ke sāmāñ hue dushman 'tālib'
yār-e-ġhār apne jo duniyā meñ the aġhyār hue
haal-e-anjam se piri mein KHabar-dar hue
haif-sad-haif ki ab KHwab se bedar hue
kis tarah KHana-nashini se na ghabra jaen
aadmi hum na hue nuqta-e-parkar hue
KHana-e-chashm mein rakkha na basarat ne qadam
band jis din se tere rauzan-e-diwar hue
hai mere pesh-e-nazar ab bhi tumhaara bachpan
mujh se batlao ki tum kab se tarahdar hue
nafa kya pahonche kisi ko jo tawangar ho baKHil
kya anadil ko mila phul jo zardar hue
past himmat hui musa ki haqiqat sun kar
bhul kar hum na kabhi talib-e-didar hue
mauqa-e-did jab aaya to nigah KHira hui
mardum-e-dida ajab waqt mein bimar hue
shisha se ban ke pari bint-e-inab jab nikli
dekh kar jame se bahar wahin mai-KHwar hue
wasl mein talKHi-e-furqat ki talafi ye hui
lab-e-shirin-e-sanam mujh se shakar-bar hue
muntashir fikr-e-maishat se hue hosh-o-hawas
tair-e-aql-e-rasa par tere bekar hue
hashr mein aish ke saman hue dushman 'talib'
yar-e-ghaar apne jo duniya mein the aghyar hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.