Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

haal-e-dil bad se bad-tar hua dekhiye

Amardeep Singh

haal-e-dil bad se bad-tar hua dekhiye

Amardeep Singh

MORE BYAmardeep Singh

    hāl-e-dil bad se bad-tar huā dekhiye

    aap kaam hai dekhnā dekhiye

    vo jo rakkhā huā hai jahāñ ke liye

    aap ḳhud bhī to vo aa.ina dekhiye

    'aql vāloñ imdād ke vāste

    jāñ-ba-kaf hai koī sar-phirā dekhiye

    shahr jal bujh gayā log mar kab ga.e

    sub.h-e-nau kal nayā hādisa dekhiye

    is tamāsha-e-ahl-e-siyāsat ko aap

    dekh sakte haiñ bas bārhā dekhiye

    apne ausān khotī zamīñ nahīñ

    āsmāñ ko bhī martā huā dekhiye

    ek hālat hai dil kuchh aisī bhī jab

    ḳhud ko mumkin hai ḳhud se judā dekhiye

    jalva-farmā hai jo apne andar use

    dam-ba-dam dekhiye jā-ba-jā dekhiye

    ek duuje se uktā ga.e aadmī

    in se uktā.egā kab ḳhudā dekhiye

    shiddat-e-ġham hai maiñ bhī huuñ pyāsā 'amar'

    aas paas ab koī mai-kada dekhiye

    haal-e-dil bad se bad-tar hua dekhiye

    aap ka kaam hai dekhna dekhiye

    wo jo rakkha hua hai jahan ke liye

    aap KHud bhi to wo aaina dekhiye

    'aql walon ki imdad ke waste

    jaan-ba-kaf hai koi sar-phira dekhiye

    shahr jal bujh gaya log mar kab gae

    subh-e-nau kal naya hadisa dekhiye

    is tamasha-e-ahl-e-siyasat ko aap

    dekh sakte hain bas barha dekhiye

    apne ausan khoti zamin hi nahin

    aasman ko bhi marta hua dekhiye

    ek haalat hai dil ki kuchh aisi bhi jab

    KHud ko mumkin hai KHud se juda dekhiye

    jalwa-farma hai jo apne andar use

    dam-ba-dam dekhiye ja-ba-ja dekhiye

    ek duje se ukta gae aadmi

    in se uktaega kab KHuda dekhiye

    shiddat-e-gham hai main bhi hun pyasa 'amar'

    aas pas ab koi mai-kada dekhiye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now