haal-e-dil humne sunaya to bura man gae
hāl-e-dil ham ne sunāyā to burā maan ga.e
ashk āñkhoñ meñ jo aaya to burā maan ga.e
va.ada karke jo na aa.e to koī baat nahīñ
bevafā kah ke bulāyā to burā maan ga.e
jis ke har lafz meñ har band meñ naam un kā thā
ham ne vo giit sunāyā to burā maan ga.e
vo jo ġhairoñ se ham-āġhosh huā karte haiñ
un ko pahlū meñ biThāyā to burā maan ga.e
aap ne jashn charāġhoñ kā manāyā lekin
ik diyā ham ne jalāyā to burā maan ga.e
jaam pe jaam uThāte rahe piine vaale
ham ne jo haath baḌhāyā to burā maan ga.e
naaz pe naaz uThāyā to baḌe achchhe the
niiñd se un ko jagāyā to burā maan ga.e
aib har shaḳhs meñ jo DhūñD rahe the 'anjum'
aa.ina un ko dikhāyā to burā maan ga.e
haal-e-dil hum ne sunaya to bura man gae
ashk aankhon mein jo aaya to bura man gae
wada karke jo na aae to koi baat nahin
bewafa kah ke bulaya to bura man gae
jis ke har lafz mein har band mein nam un ka tha
hum ne wo git sunaya to bura man gae
wo jo ghairon se ham-aghosh hua karte hain
un ko pahlu mein biThaya to bura man gae
aap ne jashn charaghon ka manaya lekin
ek diya hum ne jalaya to bura man gae
jam pe jam uThate rahe pine wale
hum ne jo hath baDhaya to bura man gae
naz pe naz uThaya to baDe achchhe the
nind se un ko jagaya to bura man gae
aib har shaKHs mein jo DhunD rahe the 'anjum'
aaina un ko dikhaya to bura man gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.