haal-e-dil kahne ki sai-e-raigan mein rah gae
haal-e-dil kahne ki sai-e-raigan mein rah gae
Sardar Mohan Singh Deewan
MORE BYSardar Mohan Singh Deewan
hāl-e-dil kahne kī sa.ī-e-rā.igāñ meñ rah ga.e
uljhe kuchh alfāz meñ ham kuchh bayāñ meñ rah ga.e
ḳhauf-o-ġhusse ke sivā khāne ko kyā ham ko milā
rahne ko mehmāñ tire dilkash jahāñ meñ rah ga.e
shāh-nāme aur sikandar-nāme tak duniyā ga.ī
mubtadī the ham gulistāñ-bostāñ meñ rah ga.e
zindagī kī ibtidā ishq-e-butāñ se ham ne kī
baḌh sake aage na kuchh ishq-e-butāñ meñ rah ga.e
ye na sochā ranj dene meñ haiñ donoñ ek se
imtiyāz-e-dostān-o-dushmanāñ meñ rah ga.e
haal-e-dil kahne ki sai-e-raigan mein rah gae
uljhe kuchh alfaz mein hum kuchh bayan mein rah gae
KHauf-o-ghusse ke siwa khane ko kya hum ko mila
rahne ko mehman tere dilkash jahan mein rah gae
shah-name aur sikandar-name tak duniya gai
mubtadi the hum gulistan-bostan mein rah gae
zindagi ki ibtida ishq-e-butan se hum ne ki
baDh sake aage na kuchh ishq-e-butan mein rah gae
ye na socha ranj dene mein hain donon ek se
imtiyaz-e-dostan-o-dushmanan mein rah gae
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 237)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.