haal-e-dil sun ke sunao to maza aa jae
hāl-e-dil sun ke sunāo to maza aa jaa.e
jashn ik raat manāo to maza aa jaa.e
tum jahāñ chāho vahāñ mujh ko biThāte ho magar
dil meñ āñkhoñ meñ biThāo to maza aa jaa.e
ho ke bebāk zamāne se bharī mahfil meñ
aañkh se aañkh milāo to maza aa jaa.e
yaad hī yaad meñ so jā.ūñ achānak maiñ to
tum agar aa ke jagāo to maza aa jaa.e
maiñ tumheñ dekh ke chakrā ke agar gir jā.ūñ
dast-e-nāzuk se uThāo to maza aa jaa.e
shauq se roz pilāte ho mujhe tum lekin
aaj ḳhud pī ke pilāo to maza aa jaa.e
tishnagī baḌhne lagī vaqfa-e-mai-noshī se
daur pe daur chalāo to maza aa jaao
apne altāf se 'ḳhākī' ko do-ālam meñ agar
qābil-e-qadr banāo to maza aa jaa.e
haal-e-dil sun ke sunao to maza aa jae
jashn ek raat manao to maza aa jae
tum jahan chaho wahan mujh ko biThate ho magar
dil mein aankhon mein biThao to maza aa jae
ho ke bebak zamane se bhari mahfil mein
aankh se aankh milao to maza aa jae
yaad hi yaad mein so jaun achanak main to
tum agar aa ke jagao to maza aa jae
main tumhein dekh ke chakra ke agar gir jaun
dast-e-nazuk se uThao to maza aa jae
shauq se roz pilate ho mujhe tum lekin
aaj KHud pi ke pilao to maza aa jae
tishnagi baDhne lagi waqfa-e-mai-noshi se
daur pe daur chalao to maza aa jao
apne altaf se 'KHaki' ko do-alam mein agar
qabil-e-qadr banao to maza aa jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.