haal-e-dil tha jo pahle wo ab to nahin
hāl-e-dil thā jo pahle vo ab to nahīñ
aañkh merī hai nam be-sabab to nahīñ
tū mujhe maut kī dhamkiyāñ to na de
tū bhī insān hai koī rab to nahīñ
ye jo hālāt fil-vaqt paidā hue
mere mālik ye terā ġhazab to nahīñ
nek bandoñ ke badle amaañ baḳhsh de
kuchh bure log haiñ in meñ sab to nahīñ
yuuñ to hone ko hotī hai har roz shab
lailatul-qadr sī koī shab to nahīñ
ġhair ke sāmne kuchh na bolegā ye
dil pareshān hai be-adab to nahīñ
sūkhī shāḳhoñ pe 'nusrat' khileñ gul abhī
ye bhī us ke liye kuchh ajab to nahīñ
haal-e-dil tha jo pahle wo ab to nahin
aankh meri hai nam be-sabab to nahin
tu mujhe maut ki dhamkiyan to na de
tu bhi insan hai koi rab to nahin
ye jo haalat fil-waqt paida hue
mere malik ye tera ghazab to nahin
nek bandon ke badle aman baKHsh de
kuchh bure log hain in mein sab to nahin
yun to hone ko hoti hai har roz shab
lailatul-qadr si koi shab to nahin
ghair ke samne kuchh na bolega ye
dil pareshan hai be-adab to nahin
sukhi shaKHon pe 'nusrat' khilen gul abhi
ye bhi us ke liye kuchh ajab to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.