haal-e-dil tum se meri jaan na kaha kaun se din
hāl-e-dil tum se mirī jaañ na kahā kaun se din
mere kahne ko bhalā tum ne sunā kaun se din
lazzateñ vasl kī kuchh maiñ ne bayāñ kiiñ to kahā
aap ke vāste din aisā huā kaun se din
jab kahā maiñ ne vo kyā din the jo milte the tum
ho ke anjān ajab Dhab se kahā kaun se din
vasl kī shab hai milo aaj to dil khol ke ḳhuub
ai mirī jaan ye jā.egī hayā kaun se din
rashk-āmez jo kuchh maiñ ne kahā to bole
ġhair ke saath mujhe dekh liyā kaun se din
har ghaḌī dil meñ rahā ḳhauf bigaḌ jaane kā
tere milne meñ mazā ham ko milā kaun se din
kaun sā din hai jo bechain nahīñ ho ke 'nizām'
be-qarārī se na us dar pe gayā kaun se din
haal-e-dil tum se meri jaan na kaha kaun se din
mere kahne ko bhala tum ne suna kaun se din
lazzaten wasl ki kuchh main ne bayan kin to kaha
aap ke waste din aisa hua kaun se din
jab kaha main ne wo kya din the jo milte the tum
ho ke anjaan ajab Dhab se kaha kaun se din
wasl ki shab hai milo aaj to dil khol ke KHub
ai meri jaan ye jaegi haya kaun se din
rashk-amez jo kuchh main ne kaha to bole
ghair ke sath mujhe dekh liya kaun se din
har ghaDi dil mein raha KHauf bigaD jaane ka
tere milne mein maza hum ko mila kaun se din
kaun sa din hai jo bechain nahin ho ke 'nizam'
be-qarari se na us dar pe gaya kaun se din
- Book : kulliyat-e-nizaam (Pg. 163)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.