haal-e-dil yar ko sunana kya
hāl-e-dil yaar ko sunānā kyā
ro ke ḳhud us ko bhī rulānā kyā
khā rahe ho qasam javānī kī
is javānī kā hai Thikānā kyā
lenā āThoñ pahar tumhārā naam
saarī duniyā ko bhuul jaanā kyā
mere dil hī meñ jab basā hai vo
phir bhī us kī galī meñ jaanā kyā
aaj haiñ dost aur kal dushman
aise logoñ kā dostāna kyā
khul gayā jab ki bevafā hai vo
phir use aur āzmānā kyā
biij bote haiñ log nafrat ke
uTh gayā pyaar kā zamānā kyā
jin kī yādoñ se un kī yaad aa.e
vo jafā.eñ bhī bhuul jaanā kyā
gar nahīñ haiñ ye khel ulfat ke
rūThnā kyā hai aur manānā kyā
dil meñ phir gudgudī lagī uThne
fasl-e-gul kā hai ye zamānā kyā
qatl-o-ġhārat hai ashk-bārī hai
dekhā jaatā hai ye zamāna kyā
ġham-e-daurāñ hī kam na thā ai dil
ab ġham-e-ishq bhī uThānā kyā
ḳhud-baḳhud jhuk rahā hai sar 'ālam'
aa gayā us kā āstānā kyā
haal-e-dil yar ko sunana kya
ro ke KHud us ko bhi rulana kya
kha rahe ho qasam jawani ki
is jawani ka hai Thikana kya
lena aaThon pahar tumhaara nam
sari duniya ko bhul jaana kya
mere dil hi mein jab basa hai wo
phir bhi us ki gali mein jaana kya
aaj hain dost aur kal dushman
aise logon ka dostana kya
khul gaya jab ki bewafa hai wo
phir use aur aazmana kya
bij bote hain log nafrat ke
uTh gaya pyar ka zamana kya
jin ki yaadon se un ki yaad aae
wo jafaen bhi bhul jaana kya
gar nahin hain ye khel ulfat ke
ruThna kya hai aur manana kya
dil mein phir gudgudi lagi uThne
fasl-e-gul ka hai ye zamana kya
qatl-o-ghaarat hai ashk-bari hai
dekha jata hai ye zamana kya
gham-e-dauran hi kam na tha ai dil
ab gham-e-ishq bhi uThana kya
KHud-baKHud jhuk raha hai sar 'alam'
aa gaya us ka aastana kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.