haal furqat ka sunaun to bahut rooge
haal furqat kā sunā.ūñ to bahut ro.o.ge
chiir kar dil ko dikhā.ūñ to bahut ro.o.ge
maiñ ne har chand nibhāne kī tamannā kī thī
vā'da apnā na nibhā.ūñ to bahut ro.o.ge
kaise raushan karūñ maiñ apnā jahān-e-tārīk
sham.a-sāñ dil ko jalā.ūñ to bahut ro.o.ge
ashk āñkhoñ se bahātā huuñ zabāñ bhī chup hai
dil-e-nādāñ ko rulā.ūñ to bahut ro.o.ge
bhuul jā.ūñ tumheñ 'ahqar' ye gavārā kab hai
yaad dil se jo bhulā.ūñ to bahut ro.o.ge
haal furqat ka sunaun to bahut rooge
chir kar dil ko dikhaun to bahut rooge
main ne har chand nibhane ki tamanna ki thi
wa'da apna na nibhaun to bahut rooge
kaise raushan karun main apna jahan-e-tarik
shama-san dil ko jalaun to bahut rooge
ashk aankhon se bahata hun zaban bhi chup hai
dil-e-nadan ko rulaun to bahut rooge
bhul jaun tumhein 'ahqar' ye gawara kab hai
yaad dil se jo bhulaun to bahut rooge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.