haal KHasta hai mere muflis ka
haal ḳhasta hai mere muflis kā
bādshah so.e vaqt hai jis kā
jaise muddat se baiThā tāktā ho
rang piilā huā hai jālis kā
maalī kī jaan par asar kyoñ ho
phuul gar TuuTe jo nivāris kā
maar Daalā hai pyaas ne gul ko
haal jaane na bādshah kis kā
ek 'arse ke baa'd aayā huuñ
haal badlā huā hai majlis kā
log 'ākif' ko mo'tabar jāneñ
ye bharam hai jahāñ meñ jis-tis kā
haal KHasta hai mere muflis ka
baadshah soe waqt hai jis ka
jaise muddat se baiTha takta ho
rang pila hua hai jalis ka
mali ki jaan par asar kyon ho
phul gar TuTe jo niwaris ka
mar Dala hai pyas ne gul ko
haal jaane na baadshah kis ka
ek 'arse ke ba'd aaya hun
haal badla hua hai majlis ka
log 'akif' ko mo'tabar jaanen
ye bharam hai jahan mein jis-tis ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.