haal kya kar diya diwane ka
haal kyā kar diyā divāne kā
shukriya mujh ko āzmāne kā
ye bahānā diyā jagāne kā
us ne vā'da kiyā hai aane kā
mere hālāt kyā zarā bigḌe
ruḳh badalne lagā zamāne kā
maiñ hasīnoñ ke dil meñ rahtā huuñ
ye pata hai mire Thikāne kā
ham se milnā nahīñ to ghar jaao
fā.eda kyā hai dil jalāne kā
chain kī niiñd so.egā 'faisal'
kaash takiya ho tere shāne kā
haal kya kar diya diwane ka
shukriya mujh ko aazmane ka
ye bahana diya jagane ka
us ne wa'da kiya hai aane ka
mere haalat kya zara bigDe
ruKH badalne laga zamane ka
main hasinon ke dil mein rahta hun
ye pata hai mere Thikane ka
hum se milna nahin to ghar jao
faeda kya hai dil jalane ka
chain ki nind soega 'faisal'
kash takiya ho tere shane ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.