haal kya puchhte ho soKHta-samani ka
haal kyā pūchhte ho soḳhta-sāmānī kā
daaġh sarmāya huā zindagī-e-fānī kā
ġharq-e-dariyā-e-nidāmat huā tūmār-e-jurm
ye to adnā sā karishma hai pashemānī kā
ba.ad-e-murdan jo anāsir mire bikhre yā-rab
uqda hal ho gayā hastī kī pareshānī kā
sang-e-dar ba.az ne sang-e-dar-e-maqsad samjhā
ye sila ham ko milā aap kī darbānī kā
dekh kar merī pareshānī-e-tahrīr kahā
ye muraqqa.a hai yaqīnan kisī dīvānī kā
haal kya puchhte ho soKHta-samani ka
dagh sarmaya hua zindagi-e-fani ka
gharq-e-dariya-e-nidamat hua tumar-e-jurm
ye to adna sa karishma hai pashemani ka
baad-e-murdan jo anasir mere bikhre ya-rab
uqda hal ho gaya hasti ki pareshani ka
sang-e-dar baz ne sang-e-dar-e-maqsad samjha
ye sila hum ko mila aap ki darbani ka
dekh kar meri pareshani-e-tahrir kaha
ye muraqqa hai yaqinan kisi diwani ka
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 267)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.