haal mera mehrban tu yun sar-e-mahfil na puchh
haal merā mehrbāñ tū yuuñ sar-e-mahfil na pūchh
raaz hai ye dost kā kyuuñ ho gayā ġhāfil na pūchh
zindagī baḳhshī hai tū ne ye tirā ehsān hai
kyā diyā is zindagī ne kyā huā hāsil na pūchh
roz-o-shab kī diary tere yahāñ maujūd hai
ab hisāb-e-zindagī ai mālik-e-ādil na pūchh
ḳhuun kī rangat batā detī hai qātil kā pata
ek bismil se ḳhudā-rā kūcha-e-qātil na pūchh
pahle to chhūTā vatan ab chhoḌe jaatī huuñ jahāñ
thī kahāñ manzil mirī hogī kahāñ manzil na pūchh
ik havā kī be-ruḳhī ne kar diyā qissa tamām
Dagmagā.ī juuñ hī kashtī hasrat-e-sāhil na pūchh
sham.a mahfil meñ jalī to ho gayā raushan jahāñ
sham.a jis dam bujh ga.ī hangāma-e-mahfil na pūchh
bhuul kar bhī ik nazar ai shoḳh be-parvā idhar
ab ‘nasīm’-e-ḳhasta se tū iztirāb-e-dil na pūchh
haal mera mehrban tu yun sar-e-mahfil na puchh
raaz hai ye dost ka kyun ho gaya ghafil na puchh
zindagi baKHshi hai tu ne ye tera ehsan hai
kya diya is zindagi ne kya hua hasil na puchh
roz-o-shab ki diary tere yahan maujud hai
ab hisab-e-zindagi ai malik-e-adil na puchh
KHun ki rangat bata deti hai qatil ka pata
ek bismil se KHuda-ra kucha-e-qatil na puchh
pahle to chhuTa watan ab chhoDe jati hun jahan
thi kahan manzil meri hogi kahan manzil na puchh
ek hawa ki be-ruKHi ne kar diya qissa tamam
Dagmagai jun hi kashti hasrat-e-sahil na puchh
shama mahfil mein jali to ho gaya raushan jahan
shama jis dam bujh gai hangama-e-mahfil na puchh
bhul kar bhi ek nazar ai shoKH be-parwa idhar
ab ‘nasim’-e-KHasta se tu iztirab-e-dil na puchh
- Book : Harf-e-dil (Pg. 31)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.