haal par mere ai naseh-e-mohtaram aapko kam se kam sochna chahiye
haal par mere ai naseh-e-mohtaram aapko kam se kam sochna chahiye
Abdus Samad Aasi
MORE BYAbdus Samad Aasi
haal par mere ai nāseh-e-mohtaram aap ko kam se kam sochnā chāhiye
mere pahlū meñ dil dil meñ furqat kā ġham aap ko kam se kam sochnā chāhiye
dil ko tark-e-ta.alluq to manzūr hai ye magar koshish-e-zabt se duur hai
mujh pe karne se pahle ye taaza sitam aap ko kam se kam sochnā chāhiye
ḳhud usūloñ kā apne parastār huuñ bāhamī tafraqoñ se maiñ bezār huuñ
rind-mashrab huuñ maiñ ahl-e-dair-o-haram aap ko kam se kam sochnā chāhiye
yuuñ na zulfoñ ko shānoñ pe bikhrā.iye in ko suljhā.iye in ko suljhā.iye
jaan leñge kisī kī ye zulfoñ ke ḳham aap ko kam se kam sochnā chāhiye
yuuñ kināre pe liije na añgḌā.iyāñ yuuñ nahātī haiñ paanī meñ parchhā.iyāñ
is kināre pe hairat-zada se haiñ ham aap ko kam se kam sochnā chāhiye
aaj vaqt-e-sahar aur ba-vaqt-e-azāñ mai-kade kī taraf jā rahe ho kahāñ
keh rahe haiñ ye sab 'āsī'-e-mohtaram aap ko kam se kam sochnā chāhiye
haal par mere ai naseh-e-mohtaram aap ko kam se kam sochna chahiye
mere pahlu mein dil dil mein furqat ka gham aap ko kam se kam sochna chahiye
dil ko tark-e-talluq to manzur hai ye magar koshish-e-zabt se dur hai
mujh pe karne se pahle ye taza sitam aap ko kam se kam sochna chahiye
KHud usulon ka apne parastar hun bahami tafraqon se main bezar hun
rind-mashrab hun main ahl-e-dair-o-haram aap ko kam se kam sochna chahiye
yun na zulfon ko shanon pe bikhraiye in ko suljhaiye in ko suljhaiye
jaan lenge kisi ki ye zulfon ke KHam aap ko kam se kam sochna chahiye
yun kinare pe lije na angDaiyan yun nahati hain pani mein parchhaiyan
is kinare pe hairat-zada se hain hum aap ko kam se kam sochna chahiye
aaj waqt-e-sahar aur ba-waqt-e-azan mai-kade ki taraf ja rahe ho kahan
keh rahe hain ye sab 'asi'-e-mohtaram aap ko kam se kam sochna chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.