haal puchha kisi ne jab humse
haal pūchhā kisī ne jab ham se
aañkh bhar aa.ī shiddat-e-ġham se
dil to dil ruuh bhī taḌaptī hai
choT khāte haiñ jab bhī hamdam se
ham ne phūloñ se zaḳhm khaa.e haiñ
ham ko sho.ale mile haiñ shabnam se
guzrī apnī bahār kāñToñ meñ
ġham hī paa.e har ek mausam se
thā azal se rahegā tā-ba-abad
saath miTTī kā nasl-e-ādam se
zaḳhm ḳhāroñ se sī liye dil ke
kaam niklā na jab bhī marham se
ye sulagtī hayāt apnī 'payām'
kam nahīñ dard ke jahannam se
haal puchha kisi ne jab hum se
aankh bhar aai shiddat-e-gham se
dil to dil ruh bhi taDapti hai
choT khate hain jab bhi hamdam se
hum ne phulon se zaKHm khae hain
hum ko shoale mile hain shabnam se
guzri apni bahaar kanTon mein
gham hi pae har ek mausam se
tha azal se rahega ta-ba-abad
sath miTTi ka nasl-e-adam se
zaKHm KHaron se si liye dil ke
kaam nikla na jab bhi marham se
ye sulagti hayat apni 'payam'
kam nahin dard ke jahannam se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.