haal puchha to hans ke Tal diya
haal pūchhā to hañs ke Taal diyā
us ne ik imtihāñ meñ Daal diyā
zaḳhm duniyā ne jis qadar bhī diye
us ne zaḳhmoñ ko indimāl diyā
kis liye ab havā kā ruḳh dekheñ
naav ko jab nadī meñ Daal diyā
nisbat-e-rāhbar bhī kyā shai hai
girte girte hameñ sañbhāl diyā
bārhā Dūbte safīnoñ ko
mauj-e-tūfāñ ne ḳhud uchhāl diyā
raushnī baḳhsh dī sitāroñ ko
us ne sūraj ko gar zavāl diyā
jo milā be-talab milā us se
jo diyā us ne be-misāl diyā
us ko dushman kahūñ ki dost 'nasīm'
jis ne maazī ko le ke haal diyā
haal puchha to hans ke Tal diya
us ne ek imtihan mein Dal diya
zaKHm duniya ne jis qadar bhi diye
us ne zaKHmon ko indimal diya
kis liye ab hawa ka ruKH dekhen
naw ko jab nadi mein Dal diya
nisbat-e-rahbar bhi kya shai hai
girte girte hamein sanbhaal diya
barha Dubte safinon ko
mauj-e-tufan ne KHud uchhaal diya
raushni baKHsh di sitaron ko
us ne suraj ko gar zawal diya
jo mila be-talab mila us se
jo diya us ne be-misal diya
us ko dushman kahun ki dost 'nasim'
jis ne mazi ko le ke haal diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.