haal puchhe jo koi mera bata bhi na sakun
haal pūchhe jo koī merā batā bhī na sakūñ
kyā qayāmat hai ki maiñ hoñT hilā bhī na sakūñ
uf ye majbūrī-e-ayyām kā aalam hamdam
rah-guzārān-e-shab-e-ġham ko jagā bhī na sakūñ
ai junūñ haif mirī soḳhta-sāmānī par
vaqt ko maut kī tā۔bīr batā bhī na sakūñ
sochtā huuñ ravish-e-ḳhām pe mātam kar luuñ
bijliyāñ aa.eñ to siine se lagā bhī na sakūñ
Thahar jā gardish-e-daurāñ ki maiñ aisā to nahīñ
barq kī zad ye nasheman jo banā bhī na sakūñ
ab to allāh nigahbāñ hai vafā keshoñ kā
choT khaa.ī hai kuchh aisī ki dikhā bhī na sakūñ
dil-shikasta huuñ bahut gardish-e-daurāñ hai magar
us se kaT kar koī kāshāna banā bhī na sakūñ
kitnī majbūrī hai ai dost ki ġham-ḳhvāroñ ko
ġham-e-ayyām kī tafsīl batā bhī na sakūñ
kitnī bāteñ haiñ sunāne kī magar ai 'nāzish'
haa.e chāhūñ jo sunānā to sunā bhī na sakūñ
haal puchhe jo koi mera bata bhi na sakun
kya qayamat hai ki main honT hila bhi na sakun
uf ye majburi-e-ayyam ka aalam hamdam
rah-guzaran-e-shab-e-gham ko jaga bhi na sakun
ai junun haif meri soKHta-samani par
waqt ko maut ki ta۔bir bata bhi na sakun
sochta hun rawish-e-KHam pe matam kar lun
bijliyan aaen to sine se laga bhi na sakun
Thahar ja gardish-e-dauran ki main aisa to nahin
barq ki zad ye nasheman jo bana bhi na sakun
ab to allah nigahban hai wafa keshon ka
choT khai hai kuchh aisi ki dikha bhi na sakun
dil-shikasta hun bahut gardish-e-dauran hai magar
us se kaT kar koi kashana bana bhi na sakun
kitni majburi hai ai dost ki gham-KHwaron ko
gham-e-ayyam ki tafsil bata bhi na sakun
kitni baaten hain sunane ki magar ai 'nazish'
hae chahun jo sunana to suna bhi na sakun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.