haalanki kam nahin jo mere aas-pas hain
hālāñki kam nahīñ jo mire ās-pās haiñ
kin se nibhā.ī jaa.e ki ham kin ko raas haiñ
tum kyā ga.e ki haa.e zamāne guzar ga.e
ghar ke ye bām-o-dar haiñ ki ab tak udaas haiñ
ham ḳhuub jānte haiñ banāvaT mizāj kī
ahbāb sochte haiñ ki ham bad-havās haiñ
ham bhāñpte haiñ nuqta-e-bātil meñ mudda'ā
tere ḳhutūt meñ to ka.ī iqtibās haiñ
vo DhūñDte phireñge shikāyat ḳhutūt meñ
qāsid ḳhamosh rahnā vo mā’nī-shanās haiñ
haalanki kam nahin jo mere aas-pas hain
kin se nibhai jae ki hum kin ko ras hain
tum kya gae ki hae zamane guzar gae
ghar ke ye baam-o-dar hain ki ab tak udas hain
hum KHub jaante hain banawaT mizaj ki
ahbab sochte hain ki hum bad-hawas hain
hum bhanpte hain nuqta-e-baatil mein mudda'a
tere KHutut mein to kai iqtibas hain
wo DhunDte phirenge shikayat KHutut mein
qasid KHamosh rahna wo ma’ni-shanas hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.