haalanki nazar aate hain sab humse ziyaada
hālāñki nazar aate haiñ sab ham se ziyāda
kis ko hai magar jiine kā Dhab ham se ziyāda
ham sub.h ke ḳhurshīd se rakhte haiñ ta'alluq
hogā kise andāza-e-shab ham se ziyāda
māñge ke ujāloñ pe uchhaltā nahīñ koī
hai chāñd pe sūraj kā adab ham se ziyāda
kāġhaz pe suḳhan koī jo zinda ho to jāneñ
haañ she'r to kah lete haiñ sab ham se ziyāda
ā.īna dikhāne meñ bhī pīchhe nahīñ rahte
pūchho ho agar nām-o-nasab ham se ziyāda
inkār nahīñ shahr ke fankāroñ kā lekin
sīkhā hī nahīñ harf-e-adab ham se ziyāda
ham gaañv se qasbe meñ 'ra.īs' aa.e haiñ lekin
khulte nahīñ fankāroñ ke lab ham se ziyāda
haalanki nazar aate hain sab hum se ziyaada
kis ko hai magar jine ka Dhab hum se ziyaada
hum subh ke KHurshid se rakhte hain ta'alluq
hoga kise andaza-e-shab hum se ziyaada
mange ke ujalon pe uchhalta nahin koi
hai chand pe suraj ka adab hum se ziyaada
kaghaz pe suKHan koi jo zinda ho to jaanen
han she'r to kah lete hain sab hum se ziyaada
aaina dikhane mein bhi pichhe nahin rahte
puchho ho agar nam-o-nasab hum se ziyaada
inkar nahin shahr ke fankaron ka lekin
sikha hi nahin harf-e-adab hum se ziyaada
hum ganw se qasbe mein 'rais' aae hain lekin
khulte nahin fankaron ke lab hum se ziyaada
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.