haalat apne zar na baghat KHushnuma
hālāt apne zaar na bāġhāt ḳhushnumā
tujh se bichhaḌ ke ho ga.e ma.azūl ḳhush-adā
vaqt-e-zavāl aaya to pur-ḳhār ban gayā
vo lahja-e-shagufta vo andāz-e-dil-rubā
phailī hai chaar sū yahāñ ġhamnāk siyāhī
ai rahbarān-e-shauq rah-e-tīragī miTā
bazm-e-ḳhayāl yuuñ to bahut tābnāk thī
lekin darūn-e-dil kā añdherā na miT sakā
khultā nahīñ hai shāḳh-e-duā par koī samar
ai baḳht ke amiiñ tū koī mo.ajiza dikhā
ab paar kaise aa.eñ batā rahnumā-e-vaqt
kashtī hai āb-ġharq to sotā hai nāḳhudā
tā-umr jis ke saath 'hirā' gāmzan rahe
vo shaḳhs kah rahā hai hameñ aaj be-navā
haalat apne zar na baghat KHushnuma
tujh se bichhaD ke ho gae mazul KHush-ada
waqt-e-zawal aaya to pur-KHar ban gaya
wo lahja-e-shagufta wo andaz-e-dil-ruba
phaili hai chaar su yahan ghamnak siyahi
ai rahbaran-e-shauq rah-e-tiragi miTa
bazm-e-KHayal yun to bahut tabnak thi
lekin darun-e-dil ka andhera na miT saka
khulta nahin hai shaKH-e-dua par koi samar
ai baKHt ke amin tu koi moajiza dikha
ab par kaise aaen bata rahnuma-e-waqt
kashti hai aab-gharq to sota hai naKHuda
ta-umr jis ke sath 'hira' gamzan rahe
wo shaKHs kah raha hai hamein aaj be-nawa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.