Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

haalat ke maron se yun mauj-e-bala uljhe

Reshma Zaidi

haalat ke maron se yun mauj-e-bala uljhe

Reshma Zaidi

hālāt ke māroñ se yuuñ mauj-e-balā uljhe

jaise ki charāġhoñ se rah rah ke havā uljhe

kuchh nazm-e-chaman badle hangāma bhī ho barpā

gar sho.ala-bayānoñ se bebas sadā uljhe

ḳhushbū ho fazāoñ meñ ḳhush-rang nazāre hoñ

dāmān-e-gul-e-tar se jab bād-e-sabā uljhe

dīvāne nazroñ meñ kyā chiiz hai jāñ-sozī

kah do na vafāoñ se ab teġh-e-jafā uljhe

har shaam uThātī hai sar tīra-shabī apnā

har raat añdhere se sham.oñ ziyā uljhe

yuuñ harf na aa jaa.e gulshan meñ bahāroñ par

ab aur na phūloñ se kāñToñ ridā uljhe

kyā hogā zarā socho 'resham' sar-e-mahfil jab

ḳhud.dār tabī.at se gesū-e-anā uljhe

haalat ke maron se yun mauj-e-bala uljhe

jaise ki charaghon se rah rah ke hawa uljhe

kuchh nazm-e-chaman badle hangama bhi ho barpa

gar shoala-bayanon se bebas ki sada uljhe

KHushbu ho fazaon mein KHush-rang nazare hon

daman-e-gul-e-tar se jab baad-e-saba uljhe

diwane ki nazron mein kya chiz hai jaan-sozi

kah do na wafaon se ab tegh-e-jafa uljhe

har sham uThati hai sar tira-shabi apna

har raat andhere se shamon ki ziya uljhe

yun harf na aa jae gulshan mein bahaaron par

ab aur na phulon se kanTon ki rida uljhe

kya hoga zara socho 'resham' sar-e-mahfil jab

KHuddar tabiat se gesu-e-ana uljhe

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now