haalat ne Dhae hain sitam aur tarah ke
hālāt ne Dhaa.e haiñ sitam aur tarah ke
is daur ke insāñ ko haiñ ġham aur tarah ke
baḌhtā huuñ maiñ jab manzil-e-idrāk se aage
milte haiñ tire naqsh-e-qadam aur tarah ke
toḌo to badal lete haiñ ye aur hī paikar
haiñ but-kada-e-dil meñ sanam aur tarah ke
sau baar paḌho phir bhī muāfī na khuleñge
mazmūñ haiñ mire dil meñ raqam aur tarah ke
suulī nazar aa.egī to dil naach uThegā
ham aadmī haiñ apnī qasam aur tarah ke
tārīḳh meñ is daur ke insān ke hāthoñ
hote haiñ kuchh ahvāl raqam aur tarah ke
ab un se na.e zehn ta.alluq nahīñ rakhte
ta.amīr hoñ ab dair-o-haram aur tarah ke
rakhā jo qadam rāh-e-mohabbat meñ to jaanā
pech aur tarah ke haiñ to ḳham aur tarah ke
ab dil bhī 'hunar' aap nayā laa.eñ kahīñ se
ab shahr-e-hasīnāñ meñ haiñ ġham aur tarah ke
haalat ne Dhae hain sitam aur tarah ke
is daur ke insan ko hain gham aur tarah ke
baDhta hun main jab manzil-e-idrak se aage
milte hain tere naqsh-e-qadam aur tarah ke
toDo to badal lete hain ye aur hi paikar
hain but-kada-e-dil mein sanam aur tarah ke
sau bar paDho phir bhi muafi na khulenge
mazmun hain mere dil mein raqam aur tarah ke
suli nazar aaegi to dil nach uThega
hum aadmi hain apni qasam aur tarah ke
tariKH mein is daur ke insan ke hathon
hote hain kuchh ahwal raqam aur tarah ke
ab un se nae zehn talluq nahin rakhte
tamir hon ab dair-o-haram aur tarah ke
rakha jo qadam rah-e-mohabbat mein to jaana
pech aur tarah ke hain to KHam aur tarah ke
ab dil bhi 'hunar' aap naya laen kahin se
ab shahr-e-hasinan mein hain gham aur tarah ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.