haalat sazgar banane mein rah gaya
hālāt sāzgār banāne meñ rah gayā
vo apnā bār-e-zīst uThāne meñ rah gayā
duniyā ke saath chal na sakā vo ziyāñ-nasīb
vo gosha-gīr apne Thikāne meñ rah gayā
sūraj ne ek baar pukārā to thā use
vo apne zehn-o-dil ko jagāne meñ rah gayā
jiine kā hausla jo mire dil meñ thā kabhī
shāyad kisī guzishta zamāne meñ rah gayā
ḳhud apnī manziloñ ke tajassus se be-ḳhabar
vo dūsroñ ko raah dikhāne meñ rah gayā
vo mahv-e-guftugū the kisī aur se 'kañval'
maiñ un ko apnī baat sunāne meñ rah gayā
haalat sazgar banane mein rah gaya
wo apna bar-e-zist uThane mein rah gaya
duniya ke sath chal na saka wo ziyan-nasib
wo gosha-gir apne Thikane mein rah gaya
suraj ne ek bar pukara to tha use
wo apne zehn-o-dil ko jagane mein rah gaya
jine ka hausla jo mere dil mein tha kabhi
shayad kisi guzishta zamane mein rah gaya
KHud apni manzilon ke tajassus se be-KHabar
wo dusron ko rah dikhane mein rah gaya
wo mahw-e-guftugu the kisi aur se 'kanwal'
main un ko apni baat sunane mein rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.