haalat se hum ulajh paDenge
hālāt se ham ulajh paḌeñge
ḳhāmosh kabhī nahīñ raheñge
tahzīb kareñge naḳhl-e-dil kī
phir us ko ġham-e-bahār deñge
aañsū na bahā.enge magar ham
us shaḳhs ko yaad to kareñge
ab soch liyā hai dil kā qissa
tujh se to kabhī nahīñ kaheñge
jab dard kī mai nahīñ milegī
ham shīsha-e-umr toḌ deñge
marham kā ḳhayāl chhoḌ 'āmir'
ye zaḳhm abhī nahīñ bhareñge
haalat se hum ulajh paDenge
KHamosh kabhi nahin rahenge
tahzib karenge naKHl-e-dil ki
phir us ko gham-e-bahaar denge
aansu na bahaenge magar hum
us shaKHs ko yaad to karenge
ab soch liya hai dil ka qissa
tujh se to kabhi nahin kahenge
jab dard ki mai nahin milegi
hum shisha-e-umr toD denge
marham ka KHayal chhoD 'amir'
ye zaKHm abhi nahin bharenge
- Book : رنگ سا اڑتا ہے (Pg. 36)
- Author : اشفاق عامر
- Publication : عکاس پبلی کیشنز،اسلام آباد
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.