haalat jo yahi ai dil-e-nashad rahegi
haalat jo yahi ai dil-e-nashad rahegi
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
MORE BYJitendra Mohan Sinha Rahbar
hālat jo yahī ai dil-e-nāshād rahegī
bastī tire armānoñ kī ābād rahegī
is husn-parastī kā yahī hashr hai honā
kul umr mirī ishq meñ barbād rahegī
miT jā.eñge duniyā se bhī ham diid ke guzre
gar ai but-e-kāfir yahī be-dād rahegī
kis jī se bhulā.ūñgā tujhe ai ruḳh-e-jānāñ
tā-roz-e-abad mujh ko tirī yaad rahegī
ik umr-e-asīrī hī sahī jism meñ ai ruuh
daa.im to na ye qaid kī mī.ād rahegī
lab tak nahīñ aa.egā tire naam bhī merā
par dil meñ lagātār mirī yaad rahegī
ik dasht-e-junūñ se dil-e-vahshī ko nikālā
'rahbar' ye tirī rāhbarī yaad rahegī
haalat jo yahi ai dil-e-nashad rahegi
basti tere armanon ki aabaad rahegi
is husn-parasti ka yahi hashr hai hona
kul umr meri ishq mein barbaad rahegi
miT jaenge duniya se bhi hum did ke guzre
gar ai but-e-kafir yahi be-dad rahegi
kis ji se bhulaunga tujhe ai ruKH-e-jaanan
ta-roz-e-abad mujh ko teri yaad rahegi
ek umr-e-asiri hi sahi jism mein ai ruh
daim to na ye qaid ki miad rahegi
lab tak nahin aaega tere nam bhi mera
par dil mein lagatar meri yaad rahegi
ek dasht-e-junun se dil-e-wahshi ko nikala
'rahbar' ye teri rahbari yaad rahegi
- Book : Payaam-e-Rehber (Pg. 187)
- Author : Jitendra Mohan Sinha Rehber
- Publication : Karanti Gupta & Om Parkash Gupt C-1205, Rajaji Puram, Lucknow (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.