haalat ye kahan sawaliya hai
hālat ye kahāñ savāliya hai
ye maiñ huuñ ye zindagī sazā hai
ab is meñ bhī kyā mashiyyat-e-ḳhās
kyoñ kahiye ḳhudā kā faisla hai
jis baaġh se maiñ khilā huā huuñ
vo baaġh tamām ho gayā hai
kam paḌ ga.ī zindagī hamārī
ye hijr to hijr se sivā hai
ye dil hai be-ġhāyatī se paiham
ab shikva-e-zindagī bhī kyā hai
shāyad ye mausam-e-junūñ hai
āñkhoñ meñ bahār kī fazā hai
behtar to ye hai ghar meñ rahiye
bāzār hai aur rāsta hai
gum-gashta bahut haiñ din hamāre
pahchān hī ek mas.ala hai
vo jhāñk rahā hai pairahan se
ye ramz hameñ visāliya hai
haalat ye kahan sawaliya hai
ye main hun ye zindagi saza hai
ab is mein bhi kya mashiyyat-e-KHas
kyon kahiye KHuda ka faisla hai
jis bagh se main khila hua hun
wo bagh tamam ho gaya hai
kam paD gai zindagi hamari
ye hijr to hijr se siwa hai
ye dil hai be-ghayati se paiham
ab shikwa-e-zindagi bhi kya hai
shayad ye mausam-e-junun hai
aankhon mein bahaar ki faza hai
behtar to ye hai ghar mein rahiye
bazar hai aur rasta hai
gum-gashta bahut hain din hamare
pahchan hi ek masala hai
wo jhank raha hai pairahan se
ye ramz hamein visaliya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.