han bana apni jalwa-gah mujhe
haañ banā apnī jalva-gāh mujhe
log terā kaheñ gavāh mujhe
koī kyoñ pūchhtā nahīñ un se
kis ne dī fursat-e-gunāh mujhe
mere dil se bachā.iyo lillāh
kar na de ye kahīñ tabāh mujhe
guzre tūfān se nahīñ vo magar
jo samajhte haiñ musht-e-kāh mujhe
ḳhud hī kar ke mujhe bahisht-badar
ḳhāk-dāñ kī dikhā.ī raah mujhe
yaad se terī kar na deñ ġhāfil
dost ahbāb māl-o-jāh mujhe
merī aadat nahīñ balā-noshī
mast kartī hai ik nigāh mujhe
har qadam go hai hausla-farsā
tai karā.egā shauq-e-rāh mujhe
be-hayāoñ se be-vafāoñ se
kuchh zarūrī nahīñ nibāh mujhe
han bana apni jalwa-gah mujhe
log tera kahen gawah mujhe
koi kyon puchhta nahin un se
kis ne di fursat-e-gunah mujhe
mere dil se bachaiyo lillah
kar na de ye kahin tabah mujhe
guzre tufan se nahin wo magar
jo samajhte hain musht-e-kah mujhe
KHud hi kar ke mujhe bahisht-badar
KHak-dan ki dikhai rah mujhe
yaad se teri kar na den ghafil
dost ahbab mal-o-jah mujhe
meri aadat nahin bala-noshi
mast karti hai ek nigah mujhe
har qadam go hai hausla-farsa
tai karaega shauq-e-rah mujhe
be-hayaon se be-wafaon se
kuchh zaruri nahin nibah mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.