han bikharne de tasalli se dil-e-bismil mujhe
haañ bikharne de tasallī se dil-e-bismil mujhe
ai dhaḌakte dil Thahar jā mil ga.ī manzil mujhe
abr-e-naisāñ chādar-e-shaffāf bar mahmil mujhe
chāñd kyā hai bas kisī ruḳhsār kā ik til mujhe
zalzale har saañs meñ har har nafas karb-e-hayāt
chain se jiine na degā iztirāb-e-dil mujhe
ab ye mere zehn kā badlāv hai yā bebasī
jaane kyoñ vo sang-dil lagtā hai dariyā-dil mujhe
sabz gahre rang kī chādar lapeTe kohsār
ḳhizr-sāmāñ aa kabhī in vādiyoñ meñ mil mujhe
āzmātā hai magar ye ḳhush-nasībī kam nahīñ
us ne samjhā hai jo apne pyaar ke qābil mujhe
vaqt aane de pasīna aa.egā har mauj ko
kyoñ samajhtā hai koī kaTtā huā sāhil mujhe
sar hathelī par liye jab maiñ sar-e-maqtal gayā
dekhtā thā dam-ba-ḳhud ḳhanjar-ba-kaf qātil mujhe
fitna-sāmānī ke din sāġhar-ba-lab shīsha-ba-dast
maut kā sāmāñ na ho jaa.e tirī mahfil mujhe
aaj bhī shāhid hai 'bazmī' vādī-e-jabrālTar
kashtiyāñ apnī jalā.īñ tab milā sāhil mujhe
han bikharne de tasalli se dil-e-bismil mujhe
ai dhaDakte dil Thahar ja mil gai manzil mujhe
abr-e-naisan chadar-e-shaffaf bar mahmil mujhe
chand kya hai bas kisi ruKHsar ka ek til mujhe
zalzale har sans mein har har nafas karb-e-hayat
chain se jine na dega iztirab-e-dil mujhe
ab ye mere zehn ka badlaw hai ya bebasi
jaane kyon wo sang-dil lagta hai dariya-dil mujhe
sabz gahre rang ki chadar lapeTe kohsar
KHizr-saman aa kabhi in wadiyon mein mil mujhe
aazmata hai magar ye KHush-nasibi kam nahin
us ne samjha hai jo apne pyar ke qabil mujhe
waqt aane de pasina aaega har mauj ko
kyon samajhta hai koi kaTta hua sahil mujhe
sar hatheli par liye jab main sar-e-maqtal gaya
dekhta tha dam-ba-KHud KHanjar-ba-kaf qatil mujhe
fitna-samani ke din saghar-ba-lab shisha-ba-dast
maut ka saman na ho jae teri mahfil mujhe
aaj bhi shahid hai 'bazmi' wadi-e-jabralTar
kashtiyan apni jalain tab mila sahil mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.