han dard-e-nihan rang ki tabir se puchho
haañ dard-e-nihāñ rañg kī ta.abīr se pūchho
dil par jo lagī choT vo tāsīr se pūchho
ā.īn-e-vafā tauq-e-gulū-gīr se pūchho
tamkīn-e-junūñ paañv kī zanjīr se pūchho
nāmūs-e-mohabbat kī qayāmat ko ḳhabar kyā
tum merī tabāhī marī taqdīr se pūchho
lo sehr-e-nazar mudda.ī-e-ġhārat-e-dil hai
kyā pūchhte ho shoḳhī-e-taqrīr se pūchho
maanā ki mujhe zahr pilāne kī hai tadbīr
pahle marī mahrūmī-e-taqdīr se pūchho
kuchh naaz hai ik taaza havas par mujhe dekho
kuchh yaas hai bigḌī huī tadbīr se pūchho
tum chain se baiThe ho havādis kī ḳhabar kyā
nairañg-e-jahāñ gardish-e-taqdīr se pūchho
shoḳhī se vahāñ rañg-e-suḳhan jam nahīñ saktā
tamkīñ meñ hai jo baat vo tasvīr se pūchho
kaafī hai vahāñ rāz-e-mohabbat ko ishārā
taqrīr nahīñ parda-e-tahrīr se pūchho
kyā jaane koī zalzala-e-sā.at-e-mahshar
lo aao idhar āshiq-e-dil-gīr se pūchho
begāna-o-be-dard haiñ arbāb-e-tamāshā
to halqa-e-fitrāk ko naḳhchīr se pūchho
phir maiñ huuñ vafā aur vahī āġhāz-e-tamannā
anjām ko nākāmī-e-taqdīr se pūchho
han dard-e-nihan rang ki tabir se puchho
dil par jo lagi choT wo tasir se puchho
aain-e-wafa tauq-e-gulu-gir se puchho
tamkin-e-junun panw ki zanjir se puchho
namus-e-mohabbat ki qayamat ko KHabar kya
tum meri tabahi mari taqdir se puchho
lo sehr-e-nazar muddai-e-ghaarat-e-dil hai
kya puchhte ho shoKHi-e-taqrir se puchho
mana ki mujhe zahr pilane ki hai tadbir
pahle mari mahrumi-e-taqdir se puchho
kuchh naz hai ek taza hawas par mujhe dekho
kuchh yas hai bigDi hui tadbir se puchho
tum chain se baiThe ho hawadis ki KHabar kya
nairang-e-jahan gardish-e-taqdir se puchho
shoKHi se wahan rang-e-suKHan jam nahin sakta
tamkin mein hai jo baat wo taswir se puchho
kafi hai wahan raaz-e-mohabbat ko ishaara
taqrir nahin parda-e-tahrir se puchho
kya jaane koi zalzala-e-saat-e-mahshar
lo aao idhar aashiq-e-dil-gir se puchho
begana-o-be-dard hain arbab-e-tamasha
to halqa-e-fitrak ko naKHchir se puchho
phir main hun wafa aur wahi aaghaz-e-tamanna
anjam ko nakaami-e-taqdir se puchho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.