han han ghalat hai ye faqat jo jalwa-gar aankhon mein hai
han han ghalat hai ye faqat jo jalwa-gar aankhon mein hai
Munfarid Gorakhpuri
MORE BYMunfarid Gorakhpuri
haañ haañ ġhalat hai ye faqat jo jalva-gar āñkhoñ meñ hai
is dil meñ terī raah hai terā guzar āñkhoñ meñ hai
jalve kī terī aarzū hasrat tire dīdār kī
ab raat din har ik ghaḌī āThoñ pahar āñkhoñ meñ hai
is tarah chhup kar kyoñ mileñ is tarah chhup kar kyoñ raheñ
ab vo hamāre sāmne aa.eñ agar āñkhoñ meñ hai
roz-e-azal sūrat tirī dekhe hue muddat huī
ab tak vahī jalva tirā shām-o-sahar āñkhoñ meñ hai
muddat se maiñ yuuñ hī bhaTaktā phir rahā huuñ dar-ba-dar
kis kī talāsh āñkhoñ ko hai kaisā safar āñkhoñ meñ hai
mujh ko zarūrat hī nahīñ paḌtī kisī tasvīr kī
jab tak mirā mahbūb merā ham-safar āñkhoñ meñ hai
rāh-e-mohabbat meñ koī rahbar nahīñ apnā miyāñ
bas dekhnā ye hai mujhe kitnā hunar āñkhoñ meñ hai
sun 'munfarid' kyoñ zaar phirtā hai tū nāhaq kū-ba-kū
jis kī hai tujh ko justujū vo be-ḳhabar āñkhoñ meñ hai
han han ghalat hai ye faqat jo jalwa-gar aankhon mein hai
is dil mein teri rah hai tera guzar aankhon mein hai
jalwe ki teri aarzu hasrat tere didar ki
ab raat din har ek ghaDi aaThon pahar aankhon mein hai
is tarah chhup kar kyon milen is tarah chhup kar kyon rahen
ab wo hamare samne aaen agar aankhon mein hai
roz-e-azal surat teri dekhe hue muddat hui
ab tak wahi jalwa tera sham-o-sahar aankhon mein hai
muddat se main yun hi bhaTakta phir raha hun dar-ba-dar
kis ki talash aankhon ko hai kaisa safar aankhon mein hai
mujh ko zarurat hi nahin paDti kisi taswir ki
jab tak mera mahbub mera ham-safar aankhon mein hai
rah-e-mohabbat mein koi rahbar nahin apna miyan
bas dekhna ye hai mujhe kitna hunar aankhon mein hai
sun 'munfarid' kyon zar phirta hai tu nahaq ku-ba-ku
jis ki hai tujh ko justuju wo be-KHabar aankhon mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.