han jhuT hai wo jaan se tum par fida nahin
haañ jhuuT hai vo jaan se tum par fidā nahīñ
sach kah rahe ho ġhair kā ye hausla nahīñ
yād-e-butāñ nahīñ ki ḳhayāl-e-ḳhudā nahīñ
sab kuchh bashar ke dil meñ hai ai shaiḳh kyā nahīñ
vāqif nahīñ ho tum abhī hāl-e-raqīb se
maiñ ne burā kahā jo use kyā burā nahīñ
Thahre raho ki baat hī hogī tamām raat
Darte ho kyoñ kuchh aur mirā mudda.ā nahīñ
bhūlī bahisht meñ bhī na añgūr kī mujhe
jab pī mai-e-tahūr kahā vo mazā nahīñ
puurī na kar jo vasl kī ḳhvāhish to qatl kar
kyā terī tarah teġh bhī hājat-ravā nahīñ
ik maiñ huuñ apne dil meñ tujhe dekhtā huuñ roz
ik tū hai muḌ ke merī taraf dekhtā nahīñ
pahle to us ne vasl kā iqrār kar liyā
phir thoḌī der soch ke kahne lagā nahīñ
o sone vaale sone na degī tujhe kabhī
ye merī āh-e-garm hai bād-e-sabā nahīñ
jaao na mudda.ī kī mulāqāt ke liye
tum aao yā na aao ye matlab mirā nahīñ
ai dil kidhar hai kūcha-e-gesū se de sadā
DhūñDhuñ kahāñ añdhere meñ kuchh sūjhtā nahīñ
saa.e kā bhī pata nahīñ vo aa.e is tarah
sajde kahāñ karūñ ki kahīñ naqsh-e-pā nahīñ
sābit hai jurm-e-ishq to dāvā-e-ishq se
ham kis tarah kaheñ ki hamārī ḳhatā nahīñ
barsāt meñ bhī tum kabhī piite nahīñ 'fahīm'
aisā bhī ab pasand mujhe ittiqā nahīñ
han jhuT hai wo jaan se tum par fida nahin
sach kah rahe ho ghair ka ye hausla nahin
yaad-e-butan nahin ki KHayal-e-KHuda nahin
sab kuchh bashar ke dil mein hai ai shaiKH kya nahin
waqif nahin ho tum abhi haal-e-raqib se
main ne bura kaha jo use kya bura nahin
Thahre raho ki baat hi hogi tamam raat
Darte ho kyon kuchh aur mera muddaa nahin
bhuli bahisht mein bhi na angur ki mujhe
jab pi mai-e-tahur kaha wo maza nahin
puri na kar jo wasl ki KHwahish to qatl kar
kya teri tarah tegh bhi hajat-rawa nahin
ek main hun apne dil mein tujhe dekhta hun roz
ek tu hai muD ke meri taraf dekhta nahin
pahle to us ne wasl ka iqrar kar liya
phir thoDi der soch ke kahne laga nahin
o sone wale sone na degi tujhe kabhi
ye meri aah-e-garm hai baad-e-saba nahin
jao na muddai ki mulaqat ke liye
tum aao ya na aao ye matlab mera nahin
ai dil kidhar hai kucha-e-gesu se de sada
DhunDhun kahan andhere mein kuchh sujhta nahin
sae ka bhi pata nahin wo aae is tarah
sajde kahan karun ki kahin naqsh-e-pa nahin
sabit hai jurm-e-ishq to dawa-e-ishq se
hum kis tarah kahen ki hamari KHata nahin
barsat mein bhi tum kabhi pite nahin 'fahim'
aisa bhi ab pasand mujhe ittiqa nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.